Samaj rahe ho?

Samjaate samjaate ye samaj hi na paae ki Jise samjaa rahe hai vo samajne vaala hi nahi Itnaa samajdaar nahi ke samje Sirf samaj jaane ka ishaara bhi Hamaare nasamaj dil ko samjaa legaa

Afsos

Khushnaseeb hai vo
Jo Mohabbat kr
Afsos nahi krte

Afsos kr
Log Phir mohabbat nhi krte
Zaaya krdete hai
naemat khuda ki
Jo haqdaar hai
Usse mohabbat nahi krte .

WhySoHuman

They say…
Luxury increases greedy temptation
Maybe it’s the same With Blessings !?

Every morning
In prayer
folding hands
With a certain greed
Trying hard
not to cry
As immature as a seed

Why so pathetic are thoughts
Having everything
Still need lots

God has given
Will take some day
This soul of yours
Let it stay
Pure as white is ur Life
Sadness within
makes it grey

Every morning in prayer
Folding hands
With certain tears
Why they flow with complains
Beautiful sky as always
Only after it harshly rains
Knowing things
so philosophical
Still the same
With useless brains

Ya rab🤲

Let the divinity of this holy month erase all the sinful thoughts off your mind and fill it with a sense of purity and gratitude towards Allah! #RamadanSpecial💕

Ishq’e’izhaar

When TrueLove meets Sarcasm 🖤

Me mu’fat
Tu naraaz hai
Me chup
Tu hoshiyaar hai
Mera ronaa natak
Tera dil ka dard gehraa
Mera intezaar jaayaz
Tera samay pe pehraa

Meri baatein bekaar
Dard kare tere kaan
Bol kam sun zyaada
Rakhu me tera maan
Pyaar bhara andaaz
Bhandd huaa tu !
Me teri kismat me
Jhandd huaa tu !?

Ye kahaani Pyaar ki
Ishq’e’izhaar hai
Dil ki rumaaish
Lafzo ka bazaar hai
Samajdaar ko ishara kaafi
Kaun kitna zimmedaar hai
Jalaa hai dil Dard me
Ye shayari
Usi ki anghaar hai

Deeply felt

Dilchaspi ki dilchaspiyat pe
na Jao
Ye bhi dilchasp baat hai
Chaand ki khubsoorti pe na jaao
Uspe bhi daag hai

Chamakta hai beshaq
Phir bhi akela hai
Taare vo saare
Timtimaate apni marzi se
Vo tau bs
Kudrat ka chelaa hai

Dilchaspi ki dilchaspiyat pe na jaao
Ye bhi dilchasp baat hai
Aazaadi ki ladaai jeet
Hatkadhiyaan bandhi hai dilon me
naam jiskaa
Jaat’paat hai !!

Dad❤

Ishq mohabbat shayarana
Na’insaafi hai
Khabil’e’tareef
Vo
Jinka sirf saaya hi kaafi hai

Ek lambe safar pe nikle
Kuch khwaab aakho me liye
Kitna sahi kitna galat
Anjaan
bharosa Dilme liye

Har thokar ki kharoch ko malham lagaae
Abhi Aasmaan choona baaki hai
Arre Daddy !
Sirf Aaapka saaya hi
Mere liye kaafi hai

Chal rahi hu me
Kachve ki chaal
Hawslaa afzaai aapki
Har kamzori ko
Lalkaara hai
Muskaan ko
Hire sa chmkaaya hai
Pyaar lavz ke maane nahi
Us ehsaas ko dilme samaaya hai

Meri kamyaabi ki wajaah
Pyaar Dosti Himaayat
Aapka saaya hai

YouTube Upload 1

💕💕
Hello people….
I have taken my passion of writing to a next level 🌹and got featured on this YouTube channel
✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨✨
And share with your friends and family
Tap on the link above and share your valueable comments
🌹🌹🌹🌹🌹

Hope u will LIKE it and Do share ur Comment😇

Be’matlab si baatein…

Kisiki Mohabbat ko
Hawass ka naam na do

Maasumiyat ko
Bewakoofi ka naam na do

Dard ko naatak…
Roothne ko Ghamand
Aur
Apnepann ko Ehsaan ka naam na do

Kehna asaan hai
‘Neki kar daryaa me daaal’
Magar vo daryaa
Unke aasuo ka doosra naam na ho !

Toxic

“Love doesn’t affect You
It Infects u
As Amusing as
Rollar’coaster ride
As Toxic as Nitrous Oxide”

#A simple fact Experienced by all and still getting affected…. or Infected !?

Do share ur point of view in comment section & Keep supporting|Keep following Alraaz4u 😇

Unkahaa Dard

#PrecautionsAreBetterThanCure    Accept it🤞

Things are never one sided ,
behind every heart break there’s a wrong choice and a wrong decision.
You expect things to move according to your expectations but my dear friends fullfilled Expectations are always unexpected .
Keep faith .


Bewaafai se Wafaa kr bethe hai ab hum
Kya bataaein….
Khudhi ke haaton
khudka Dil todh aae hai hum


It’s not about blaming yourself but accepting the fact that
Things Go wrong Its normal
U fail U learn U grow
U Love U break U Love again
Life goes on.

Mere Babaji

Thi khwaahishen baaki
Magar vo kb khatam hoti hai
Ye aakhein
Roz zehen me ek naya sapnaa liye soti hai

” Ek roz
Bina khat khataahat ke
Khudaa ne hame bulaa liyaa !
Na Koi gam na shikwaa
Rooh bs intezaar me thi
Sukoon tha dilme
jaese…
Khudaa ne apni jholi me sulaa liyaa “

Nekk the bohot
Mere naanajaan
Na koi Dushman Na koi karzdaar
Ho agar koi naraaz
Bin kahe manaa liyaa
Ek roz
Bina khat khataahat ke
Khuda ne unko bulaa liya !

Corona bs ek bahaana
Kamzor dilon ko kamzori ka pataa bataadiya
Saans bhi n le paate shayad
Unke binaa
Ehsaas uska bhi dilwaadiyaa
Beshaqq
Manzoori thi khudaa ki…
Jo Ek roz
Bina khat khataahat ke
Khuda ne unko bulaa liya !

إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ
{ Inna lillahi wa inna ilayhi raji’un
“Verily we belong to Allah, and verily to Him do we return” }

💔

Aaj bhi dekh mere dil ki taraf daraarein nazar aaengi
Zakhm nae hai lekin
nishaan reh gae
Toota hua nahi lekin kamzor hai ye
Aasu nahi lakin
dard ki awaaz aaegi

” Pyar ka abb pata nahi
dard ka raasta mil gayaa
Gulaab ki khoobsoorti me
kaante ka pata mil gayaa
Nazaakat se dekho iski taraff
kahee chubb na jae
Khushbo achi hai
Manzil na bann jae…

Badal aae tau koi dar nahi
Bijlee se khudko bachaa lenge
Barish ke bhoond aag me badal jaae
Tau hum firse bhikarr jaaenge “

Dua

Dua bs Khudke liye nhi
Apno ke liye bhi maango
Kaheen na kaheen
karzdaaar ho tum !
Kam se kam Dua hi lautaado

Ya Rab 🤲
“Jannat e khair ki duaa maangti hu
Galtiyo ki muaafi maangti hu
Jaane anjaane me jo naraaz kiyaa hai
Har lamhaa jo udaas kiyaa hai
Saari ummat ke liye
Teri Rehmat maangti hu “

Kaun ho aap ?

#IdealLuvBeLike

Dilme samaa ehsaas
Pyaar bhare jasbaaat
Bharosa khudse se bhi zyaada
Lamha lamha saat
Na koi tavaqquat Na koi amaal
Na koi Anaa Na koi guroor
Soz’e’yakeen ho jisme
Na koi Riwaayat
Na koi Majboor

Kaun ho aap….?
Mere khayaalo me chipaa
Ek Adhoora Khwaaab

Jannat

Uss jannat ki duaa maango
Is jannat ka shukriyaada karo”

Ishq mohabbat ki baat nahi hai janaab….

Jannat vo
jahaa sabhi aapse pyaar krte hai
Insaan ke roop me farishte rehte hai
Aashiyaana aapka
Jise aap
Aapka Khaandaan
kehte hai

#FamilyIsBlessing♥️

MomDad❤

Growing up shouldn’t bring any barriar in between Parents & Kids .
Making them your friend makes life much more simpler than it is. Less they have to rebel against, the more connected both will be.
        Capturing every moment of life & displaying it ,sharing every phase with the once experianced already. A friendship can go hand in hand with a type of guidance which has positive and constructive results .
Sharing & caring can be found no where better than a mother. Daddy’s princes & mamma’s Boy  a happy family with sweetness of Friendship & love.

Pyar unka kisise tolaa na jaae
Unki shabaashi Duniya bhar ki khushiyaa laae
Mummy’daddy ki Dua ne banaya hai
Jo kuch me aaj hu
Unki khushiyo ka khyaal rakhna farz aur zarurato ka mohtaaj hu

Chipana unse bss ki baat nahi
Pakdi jaati hai her chori
Unka mash’oraa meri kamyaabi ka hissa hai,
Dosti unse nibhana hai zaroori “

D-day

#For all those Who think Girlz are Bewajaah emotional

Jis din…
” Mera ye gussa
Meri ye naraazgi
Aapko lagne vaala
Ye natak
Ye aasu
behnaa bandd hojaaenge
Samaj lena
Aapne ab manaane ka haqq kho diyaa hai
Me smjdaar nhi !
Haar maan chuki hu
Aur mere dil ne
Aapse muhh modd liyaa hai”

Samjdaar tau me aaj bhi hu
Bss
dil zara nadaan hai
Mera koi lafz bewajaah nahi
Yaaaar
Tu sachme meri jaan hai

Yaadein💕

Yaadein is kadar ikhatta kar rahki hai humne
har saans ke saat
Aapki yaad shaamil Hai

Samajdaar dimaag Samaaj ke aage haar sakta hai
Lekin kamzor hamaara dil hai

Aapne tau keh diya
Namm aakhein Jhooti muskaan liye
“ronaa mt mere jaane ke baad”
Ye vaada nibhaana
Mere liye behadd mushkil hai

EidMubarak💚

#COVID19 LockdownSpecial

Band hai hum
Band ho aap
Pyaar bhare jasbaat hai
Shyd Na aa paenge hum
Na aa paaoge aap
Phir bhi dilon me saat hai

Dhyaan rakho sehat ka
Zaroori filhaal Jaan hai
Sajde me sir jhukaalo
Allah behadh
Meherbaan hai

Naraazgi

#Crazylove

Intezaar ki hadd tau dekho
Khatm hi nhi hoti
Naraazgi ye hamaari
Kam hi nahi hoti

Koshish hai hamaari
Khud maanjaane ki
Magar
Manaane ki aap
Koshish bhi nahi karoge
Ye aapse umeed nahi hoti

ChaarLog

#HarGharKiKahaani

This is a poetry dedicated to every individual independently… Aapne bhi sunaa hi hoga 👉 “Watch out ! What will people say…” / “Samhaal kar ! Chaar log kyaa kahenge…”

😶

“Kuch takleefein zaroori hoti hai
Khudko ye mehsoos karwaane ke liye ki
Aap zindagi bitaa kin logon ke saat rahe ho

Kuch khwaab dekhna zaroori hota hai
Ye pataa chalne ke liye ki
Vo haqeeqat nahi sirf Ek khwaab hai”

Kuch baatein sirf anubhav se seekhi jaa sakti hai
Varna aasu pochne vaale tau kae nazar aaenge…sachme roke dekho
Manzar dhundla hokar Apne aap saaf hojaata hai

Zakhm

Yaadein sirf uski nhi
Yaadein kuch meri bhi hai
Takleef sirf uski nhi
Zakhm ki surang
idhar zyaada gehri hai

Isiliye tau faisla kiya tha…..

Yaadein sirf uski nahi
Yaadein kuch meri bhi hai
Aagaya koi aur zindagi me
tau kya !?
Tera dard tera Meri khushiyaan meri hai
Mera dard mera
Zakhm ki surang
idhar zyaada gehri hai

Dekh khudki parchaai in aasuo me
Bulaati hai aaj bhi
Khayaalo me mere
Maujood hai tu saamne
magar ab dilme nhi
Bujh gai hai aag
chodd vo kahaani
unkahi

Yaadein sirf uski nahi
Yaadein kuch meri bhi hai
Andaz’e’bayan ki kashmakash me uljhe aashiq
Sunn ! 
Zakhm ki surang aaj bhi gehri hai.

Shabba’Khair😴

#COVID19 LockdownSpecial

When your special one falls asleep without wishing u good night

Is intezaar me ki aap jaagoge
Hum aapki raah dekhte rahe
Chalo jaane do koi baat rahi
Khwaabon me mulaakaat honi hi hai

Aae hum vahaa bade hi josh me
Tau dikh gaya ek ajab manzar
Bethe the aap kisi aur ke saat
Tham gae saansein
tham gaya dahr
Nigaah’e’shokk vo aakho me
Muqhtalif andaaz kheech legayaa orr unke
Poocha humne
“Kaun hai yaar Itna khaas
khoye ho jinki baaton me…”
Palti vo nazar aur hoshh udhh gae
Chehra vo jaana pehchaana
Paheli ke vo saare raaz
Fauran judh gae

Milan ka intezaar kon kare
Jab khwaab haseen vo milaa dete hai
Footi kismat judaa dete hai
Khudko dekh uske saat
Thami saasein chalne lagi
Dahr meri muthi me
Haqeeqat ab jalne lagi !

Is intezaar me ki aap jaagoge
Hum aapki raah dekhte rahe
Chalo jaane do koi baat nahi
Kam se kam
Khwaabon me mulaakat hoti rahe

Namm aankhein

Aaj bhi yaad hai vo chamak
Aankhon ki
Yaad hai muskaan
Hothon ki
Jiski wajaaa huaa karte the hum
Nazne milne ke liye tarasti hai…
Aakhein hue padi hai namm

Naraazgi hi tau thi
Manaalete
Pyaar hi tau tha
Jataalete
Kehkr tau dekhte ek baar
Khaatir aapke
Zeher bhi khaa lete

Jee rahe the Zindagi akele mauj me
Aae tum
Jaese koi leher khojme
Sunee si tasveer me jaese rangg bhar diyaa…
Aapki is yaad ne
Rah’e’safar me tanhaa krdiyaa.

Aaj bhi yaad hai vo baatein
Be’wajaah si
yaad hai vo mehek
Gulaab si
Jisme kho jaaya krte the hum
Nazre milne ke liye tarasti hai…
Aakhein huee padi hai namm.

Log aaj kal
Dushman ko bhi dost banalete hai
Aapne tau yaar…
Paraaya kar diyaa
Rah’e’safar me tanhaa krdiyaa.

Aaj bhi yaad hai vo sapne
Kuch haseen se
Yaad hai khwaahishein
Rangeen se
Poore krne ki aas me jee rahe hai hum
Nazrein milne ke liye tarasti hai…
Aakhein huee padi hai namm

Lo me badi hogaee👸👩‍🎓

AC Car me safar krte krte
Train me jagaa dhoondne lagi

Noodles ki zidd kahaan
Gharke khaane ke liye tarasne lagi

Jeans ka size medium ya small
Standard shalwaar plaazo aur leggins me ulajhne lagi

Har movie Tv pe dekhte dekhte
Mobile Data bachaane lagi
Wifi se directly
1GB pe kaam chalaane lagi

Lo me badi hogaee…

Mummy ki awaaz se nahi
Alarm se khudko jagaane lagi
Daddy se ab jaese…
‘Long-distance relationship’ nibhaane lagi

Wajaah ke hone pe roya krti thi
Aaj rone ke baad wajaah dhoondne lagi

Kehne ko sab kuch sachh
Jhoot me khudme chipaane lagi

Pyar me dil tootne ka dard nhi
Dosti me thokar khaane lagi

Lo me badi hogaee…

Bachpan ki nadaanio se nikal
Jawaani me aasmaan choone lagi
Jo dil toota bhi nhi
Usko me shaayar banaane lagi

Ye safar kuch asaaan nhi
Himmat me khudme jagaane lagi
‘Aleena’ se pehle ab
‘ Dr.’ me lagaane lagi

Lo me badi hogaee .

LetMePictureU

Aa mujhe teri tasveer banaane de
har yaad ka fitoor banaane de
Baaho me lelu tujhe kuch iss taraaah
Heer ko Raanjha ka gurooor banaane de

Juda hone ke dar ne
milne se rok rakhaa hai
Q tu kosta hai kismat ko
Khudaa ki manzoori ne hi tau
Hame jodh rakha hai

Aa mujhe teri tasveer banaane de
har yaad ka fitoor banaane de
Hu me saat hamesha
Logo tak apni dosti tau jataane de

Har mohabbat ka antt judaai nahi
Kuch samjaaute
aur hameshaa saat
Majnu ka junoon Laila
Itne bhi majboor na the halaat
Beh gayaa khoon
bss laashe bachi saat

Muskuraa Apni is mohabbat pe
Samaaj me
Apni bhi misaal banaane de…

Aa mujhe teri tasveer banaane de
har yaad ka fitoor banaane de

MineButNotMine

Saaat kuch esa
Logo ko dekhaa na gaya
Yaar kuch esa
Dosti se samhaala na gaya
Pyar kuch esa
Unse Nibhaaya na gaya

Peediyaan padh rahi hai
Adhoore ishq ki daasta
amar kar rakhaa hai unko
Zehenme
Aaj Heer ko mil bhi gaya raanjha tau kya
Bandi bana rakha hai mehel me

Ishq me unke
Ruhaaniyat thi
Tauheen’ae’ishq Sahaa na gaya
Haar maan
Pyaar ko Pyaar tau kya
Dost ko Dost bhi
unse ab kahaa na gaya

Dil ke Kareeb vo itna
Dooor raha na gaya
Kehte hai log Najaayaz hai rishta
Poocho koi inse
Aati nahi kya inko kabhi
Kisipe daya !?

Azaad hua desh
bs soch me azaadi nahi
Hamdard ho bhi gaya khuda Tau kya !
Ye samaaj meherbaaan nahi !

🕧Neend

Kuch din pehle tak neend nahi aati thi
Aur ab tau Jaagne ka mann hi nahi karta

Sapne jo haseen aane lage hai…..

Waqt ke aage haar rahi hu me
Aur sapno me tau
ghadi ka koi kaanta nahi hota

Jo khushi ye asliyat nahi de sakti
Cheen lena chaahti hu sapno se
Kyun ki, Sachhi mohabbat se badaa koi
sachh nhi hota !

Kuch din pehle tak neend nahi aati thi…
Aur ab
Jaagne ka mnn hi nahi krta

Bhaav🙄

Jaao jaao bhaav na do
Itnaa kareeb hai kya daur ??
Pyaar iqraar hai kisise
Nibhaane vala koi aur !!

Kareeb yaar bolte hai vo…
sb zarurat ka khel
Jo teer lagi nishaane pe
Dushman sirf taade Dost machaae Shor !
Kharoche vo zakm ko…
Tanha sehna lage asaan
Dushman ki muskaan bhali
Dikhave ka dost kare pareshaan !

Jao jao bhaav na do
Itna kareeb hai kya daur ?
Dosti Matlabki zara na bhaae
Chipkte kisise….Fikar krta koi aur.
Beparwaah hai vo
Hai Kis baat ka Guroor ?
Mohabbat nahi sirf Ek zarriya jeene ka
Aaj paas….Tau Kl hojaega dooor.

Dosti me bhi mohabbat mukammal
Jaan lagaake tau dekho….
Dikhaava krta hai daur !
Qubool tau kr tera junaah ae’ dost…
Maanti hu
Har churaane vala nhi hota chor .

Jaao jaao bhaav na do
Itnaa kareeb hai kya daur !
smjte kisiko smjaaate kisiko
Samaj jaata hai Koi aur .

Darr🌛

Raat raat jaagna asaan nhi
Magr ab kya karu

Waqt aage badd jaane ka darr lgta hai
Is har behetreen lamhe ka sapna bn jaane ka darr lgta hai
Tujhe mera kehne ka haqq khone se aur
Kisi aur ka mujhpe haqq jataalene ka dar lgta hai

Jaanti hu
Kaafi waqtt hai hamaare paas bitaane ko
Magar tujh bin aage ek lamha Bitaane se darr lgta hai.

Rok lo yahi kahi Isi modd pe Hai agar sapna ye….
YAHI THAM JAAE WAQT
dua hai rabb se…..

kaidd hu me Jahaa kaheen bhi
sawera dhoondloongi
Raat raat bhar jaagna asaan nhi
Magr ab kyaa karu
Zamaanat miljaane se dar lgta hai

Barsaat

Aasmaan aaj paigaam laya hai
Mere hisse ke aasu barsaaya hai…

Toofan ye Gussa hai uska
Mere sabr ko jo aazmaya hai
yaad ki kashti behti chali
Lamha lamha kese tarsaya hai
Mausam ke ye haseen bol
Kese koi Itne Din door reh paya hai

Mere hisse ke aasu barsaaya hai
Aasmaan ye Aaj
Ek jazbaati paigaam le aaya hai…

Chipgaya Tanhaa chaand
Dhyaan khudki orr kheeche
Dekh hamaari Jhooti muskaan
Chipe namm palko ke peeche

Aasmaan aaj paigaam laya hai
Mere hisse ke aasu barsaaya hai…

FeelIt

Fake Frnds Fake love
Things got Blured
True Love True frndship
Not what everyone deserved
I stand still
Luking at Ur face
Admiring things that belonged to me in those beautiful days
Its not about Love relationships
Its about a Pure Frndship that never Stays
Fake frnds Fake Love
Why blame all of these
Insecurities and Interpretations
That lack Of Trust ,
A shadow Of Pain Followed
Not My stuff Not my experience
Just some realistic Feelings Borrowed.
Don’t blame him/her
All I was wrong
Who am i to Hurt myself
For People who are already Gone.

Sirf tu

Kisi ko khudse door krne ke liye uska marna hi zaruri nhi
Kuchh logo ko saamne saat rakhe rakhe bhi Dilme chipe bhaavnaao ko
asliyat me maar dena padhta hai….
Rishta khtm tau kisike marne ke baad bhi nhi hota
Me jite jee kese maar du !
Jagaa tau uski Sirf uski hi rahegi
Dil ne pehnayaa jo taaj use
Kese me kisiko daan du !!
Bass bhi jaae agar vo ‘ jo bhi koi ‘ waqt ke saat dil me…. jagaa uski nhi le paaega
Ishq ese logo ka mohtaaj nhi
Jo judaa hokar
Kisi aur ka hojaaega !

Unke khaatir

Chodd dee umeedein
Chodd diya aaj dilne usko
Mohabbat‘ – ek zarriya nazdeekiya badaane ka
Khudka aur Uska dil dukhaane ka

Kuch iss kadarr Nafrat krne lage…
Doori pe dukhh nhi Jashn manaae vo
Badalti duniya nhi badalte hum
Badalne lagi vo….

Kyun ki

Badalti duniya nhi badalte hum
Badalti kismat
Badalne lagi Vo
Dikhaai dene laga antt
Doopta Nazarr aane lagaa Vo

VoKaun?

Koi Beparwaah insaan agr aapki bht parwaah krta ho…
Koi jo girne se darta nhi magar
Aapki ek kharoch se
Dard usko gehra ho !
Ye vo hai jo Aapke Dil ke kareeb
Ya
Aap uske bht kareeb ho.

Pooche jo roz haal’chal
Nazar rkhne ko nhi…
Fikar se yaaro !
Har saans ke saat yaad kare
dua maange Salaamati ki hazaaro.
Shiddat ho pyar me jiske
Ye vo hai
Doori ki wajaa
Vo Khud majboor hai

I Write📝

Am i writing for myself
Or is it for u to know…
My presence couldn’t express
The Pain u watered to Grow
Every Bit thats broken
Every word unspoken
Still wants u
Still needs u
Just to let u know
The Pain u watered to Grow
Leaves shedding
Feelings all erased
Memories Still live
Situations i faced
Still wants u
Still needs u
Just to let u know
I write To keep Reminiscence alive
Just to let u know
The Pain you watered to grow

Kuch khaas Is qadar

Sochh vo milti nhi
Milaani padhti hai
Dalilo se zyaada ehmiyat aapki
Awaaz apni dabaani padhti hai
Kamzor padhh raha hai dhaaga
Pakadd vo masboot
Uske chodd jaane ke dar se…..
Ishara smjlo meri jaan
Nazar nazar ki baat hai
Me galat nhi
Bs Soch me chipe jazbaat hai.
Itna Smjdaar hone ki koi kwaahish nhi ki
Khudko bhulaa du
Itne bhi hum zaalim nhi
Khudhi ko khudke haato rulaadu….
Narazgi ka alag zor
Agar manaane vala Koi saat ho
Mohabbat Zindagi bharka
Dimaag se nikaaldo
Khamoshi Ki hadd dekho….
Bewajaah Baat badd jaati hai
Sochh vo milti nhi meri jaan
Milwaani padhti hai….
Qk
Dalilo se zyaada ehmiyat aapki….
Awaaz Vo Dil ki dabaani padhti hai.

Chata☔ Vo chedd vala

Dost ne dost se kahaa
Kuch dard ese jo chipae na chipte
Pyar ki kahaani unkahi
Ek dhakke se hi hai sb seekhte….

Chata vo dosti ka Kuch ched hai bss
Saath, phirbhi hai hum bheegte….
Boond boond se khudko zakhmi kr
Dost ne Dosti se mu modd liya
” ek Thokar se hi hai sb seekhte ”
Dost ne dost se Keh diya

Yaari agar itni gehri tau smj lete…
Dost ne dost se kehdiya
” Kuch dard ese… chipae bhi, na chipte… ”

Nazar andaas kr aage bdte chale
Pal vo namkeen Mithaas ko kam krte chale
Perr pisal gaya Aaasuo me…
Chip gaya dard
Dosti nibhaane ki rasmo me…

Chata vo chedd vala
Behtreen waaqya yaad dilaae
Bheegna manzooor
Qk Masoom ka Mnn behel jaae

Odd🔄

Shoot an arrow at bulls eye
One Quick fall made her fly
Glowing the same way
Red blue green yellow
Candles On cake
Only One special She wanted to Blow….
Randoms were beautiful
That One defined her age
Artist Singing on stage Would be of no Use Without the Background Music From Backstage….
Unjustified Secrets deep
Nightmares during sleep
Beauty Is beauty cause
Of An Ugly One
Even Is Even cause of
That ODD One !
Can u Imagin Defination of Healthy Life Without a bit of FuN !?

Ek Haar

Ek kadam teri orr
Ek hogi unke khaatir
Ek tere pyaar ki orr
Do unke izzat ke khaatir
Ek meri zarurat ki orr
Teen unke bharose ke khaatir…
Bikhar bhi jaae agar armaan mere
Das kadam unke manzoori ke khaatir
Qk Jagaa nhi unki Dil me
bana hai vo unke himaayat se
Tu kurbaan hojae mere khaatir
Bandhi hu me farzz se
Hazaar kadam bhi agar orr tere
Nakaam me Ishq me !
Unke zindagi bhar ke
kurbaaniyo ke khaatir….

Ahmiyat

Qubool hai tera har kanoon
Seekh jo mili hai bachpan se
Fark krna sikhaya nahi….
Ahmiyat bharose ki
Ahetraam hai Tauheen nahi…
Maathe pe tikaa ya Burkha kisikee pehchaan nahi.
Shradha kisiki
Tau kisika vo imaan hai
Na’jayaz Bhed’bhaav
Insaaniyat hi Insaan ki pehchaan hai

Pyaase vo Log
Doosro ke bete’betio ko badnaam krne vaale
Nasal tau unki bhi badd rahi hai
Vo kahaa kisike mukaable peeche rehne vaale.
Gair zaruri cheezo pe zor hai Yahaa
Chupchaap
Bardaasht kiye jaa rahe hai
Vo sehne vaale….

” Usool hai banaae kuch
Kadar krte hai beshakk
Mazhab se apni koi doori nahi….
Rooh ka paak hona ahem
Chaar logo ki baato ka khauf
Tere Is momin ko manzoor nahi “

Waada raha👻

Hu me yahaa saat aapke
Aapko kiye vaade poore karne ko
Sachaa pyaar kaafi hai
Saat nibhaane ko

Zara meri taraf dekho
Meri koi khwaahish adhoori tau nahi…
Bachpan se kiye jisne sapne poore
Bina kisi maang ke
Unkaa dil dukhaa tau nahi rahi hu kaheen…
Meri kamyaabi hi unka sapna hai
Meri khushi me unki muskaan
Unki dee hue seekh ka rakhna chaahti hu maan
Wadaa karo mujhse , koi zor na hogaa
Mera pyaar sachaa hai lekin
Unke saat mera rishta kamzor na hogaa

Hu me yahaa saat nibhaane ko
Har modd pe aapka haat thaamne ko
Jabb tak hoga bass me… kismat ka humpe pehra rahaa
Wada hai mera
Aapka saat kabhi na chodne ka iraada raha

Galat tau Nâhi

Ae khuda bataade
Jo galat hu me kaheen
Chaahe tau sazaa de
Tadpaya na kar bewajaah yuheen

Shaq na krta dil
Na shayad karega kabhi
Bharose ki diwaar tod
Dard ka saamna q krwa raha hai abhi

Ae khuda bataade
Jo galat hu me kaheen…

Dar lagta nhi ab khone ka
Is baat ka sukoon hai
Mohabbat me izzat bhi daav pe lagaana
Ye kahaa ka kanoon hai !

Ae khuda bataade
Jo galat hu me kaheen
Mazaak na bana Mohabbat ka
Maana baaki logo jitni samjdaar me nahi !!

Kehtà tha Vo

Bohot kiya koshish samjdaar banne ki
Bohot kiya koshish khudko smjhaane ki
Kehta tha vo ” pyar me esa hi hota hai
Qk Dil me chipaae akele dard sehta tha vo

Kehta tha vo

Mukammal ho ishq
Umeed thi khuda se
Sirf Ashique nahi Apna tha vo
Humdard ek esa
Sachaai se koso door tha vo

Kehta tha vo

Koi mil jaae agar itna khaas
Manale dil ko Ek aasu daan krke
Qk behad kareeb yaar tha vo

Kehta tha vo

Aakho ke saamne rahe
Duniya chaahe jo bhi kahe
Zinda rehne ko Uski ek jhalak bhi kaafi Rishta chaahe jo bhi ho

Kehta tha vo